Friday 24 July 2015

Kuch iss tarah jee raha hu main



Kuch iss tarah jee raha hu main

Roz subah jaldi uthkar,
Lagta hoon office jaane ki taiyaari mein,
Neend ko bhulakar aur yeh sochkar,
Phir kabhi aaram se so lunga main,
Kuch iss tarah jee raha hoon main

Gharwalon ko ek nazar dekh,
Unki aashaon ko bye bolkar,
Nikal padta hu mein badi tezi se,
Kandhe par wahi office bag lekar,
Kuch iss tarah jee raha hoon main

Bhaag kar train pakad leta hoon,
Mere jaiso ke dhakke khakar,
Pahoch jaata hu yun mein office,
Apni body ko yaha waha sambhalkar
Kuch iss tarah jee raha hoon main

Office ki wohi chair par baith,
Kar leta hoon system mein login,
Bahar ki duniya ko band kar
Ho jata hoon office mein lock-in,
Kuch iss tarah jee raha hoon main

Deadlines milti rehti hain roz yahan,
Jinko paate paate ho jata hoon dead,
Kabhi logo ke egos ke beech,
Ya politics mein ho jata hoon mad,
Kuch iss tarah jee raha hu main

Waqt par office se na nikla karo,
Yehi hain IT ki rule book mein,
Family, friends, relatives koi nahi,
Sirf deadlines, slogging meri book mein
Kuch iss tarah jee raha hu main

Der raat phir karta hoon log-out,
Uthakar wahi apni office bag,
Phir wahi raat wali train pakadkar,
Ghar jaata hu lekar 'late-comer' ka tag
Kuch iss tarah jee raha hu main

Thak-haar kar raat ko sochta hoon,
aaj meine kya bada kaam kar liya,
Din bhar itna kaam karke bhi,
Meine kya jee liya, kya paa liya,
Sochte sochte kuch iss tarah jee raha hoon main !

Yuhi waqt guzarta raha


Yuhi waqt guzarta raha
Raastein wahi reh gaye
Manzilen paas to kabhi dur hoti rahi
Iss aasman ke niche hum khade rahe
Waqt yuhi guzarta raha

Thake pairon ke haal se bekhabar,
Roz unhe khinchte, chalate rahe
Kya paseena, kya barish,
Ek pal na thame, na ruke rahe,
Aur ye waqt yuhin guzarta raha

Unchaiyan aur upar lagne lagi,
Kadam hamare ruk rukkar chalte rahe,
Koshishon ka kafila laa kar bhi,
Unchaiyan wahi reh gayi
Aur ye waqt yuhin guzarta raha

Iss bheed mein, shor mein,
Apni khamoshiyan naa sunn sake,
Badhna tujhe aage hi hai,
Ye dil yehi kehta raha
Aur ye waqt yuhin guzarta raha

Chal dost kisi mukaam par

Chal dost kisi mukaam par,
Unchaiyon par pair tere
Jahan tu muskurata rahe,
Khushi ho chehre par mere

Zindagi ki tanhaiyon ko chhod,
Apni ummeed ki mehfilon mein,
Sajaa de apne dil ko,
Apne hi khushi ke labzon mein
Chal dost kisi mukaam par !


Humne dekhe hain jo kuch sapne,
Chal unhe paas le aate hai,
Khud par hai jo bharosa
Chal usse zara aazmate hai
Chal dost kisi mukaam par !


Apno ko khush karke,
Fakr mehsus karwate hai,
Unki muskurahat ki wajah ban,
Chal unhe kuch tohfe dete hai
Chal dost kisi mukaam par !


Apni hi bandishon ko todkar,
Chal apni hi awaaz sunte hai,
Inn rukae kadmo ko badhakar,
Chal apni manzil ki aur badhte hai
Chal dost kisi mukaam par !